West Bengal ke Nalpur mein Secunderabad-Shalimar Superfast Express ke 4 bogiyon ke patari se utar jane ki news mili hai. Ye incident aaj subah, 9 November 2204, ko takriban 5.30 baje huva. Railway officials jaldi se site per pahunch gaye aur rescue aur relief operation mein jud gaye hai. Railway authorities ka kehna hai ke koi major damage nahi huva hai aur koi casualty bhi nahi huvi. Sirf kuch yatrion ko halki chot lagi hai.
Ek engine aur 3 bogiyan patari se utar gaye the. Yeh train, train number 22850 Shalimar Mail Express, ek weekly special train hai. Railway ke mutabik, ek parcel bogi aur do passenger bogiyan bhi affected hai. Halka nukhsan hone ke bawajood officials ne damage control ke liye jaldi measures lena start kar diya hai.
Train Accident ke Hadsay ki Jaanch
Railway authorities ke according, is hadse ki proper investigation ki jayegi. Yeh dekha ja raha hai ke kya railway track mein koi fault tha ya driver ki taraf se koi lapse huva. Iske alawa, train mein technical fault hone ka bhi analysis ho raha hai. Jo passengers is train mein safar kar rahe the, unke liye alternate travel arrangements per bhi socha ja raha hai.
Kuch passengers ne bataya ke train ki speed normal se kam thi, lekin achanak ek jhatka laga aur kuch samay ke baad coach patari se utar gaye. Coach ke andar rakha samaan bhi niche gir gaya tha, aur train driver ne turant train ko rok diya.
Diversion aur Rasta Bandh
Iss train accident ke baad Howrah-Kharagpur rail route temporarily band kar diya gaya hai. Jab tak train ke affected coaches ko dubara patari per nahi laya jata, tab tak iss route per traffic ko divert kiya gaya hai. Officials ka kehna hai ke jaldi hi route wapas operational ho jayega aur trains ke chalne ka silsila dobara start hoga.