India

Waqf Amendment Bill Per Maulana Qasmi Ne Kiya Aitraaz

Maulana Mufti Khalil Qasmi ne kaha ke waqf amendment bill se Muslims ke religious mamlat me dakhal koi bhi soorat me qabool nahi kiya jayega

Published

on

Muslims ke religious mamlat me dakhal koi bhi soorat me qabool nahi kiya jayega, ye baat Maulana Mufti Muhammad Khalil Qasmi, jo ke Jamiat-e-Ulma Hind ke state president hai, ne Thursday ko Khairuddin Masjid me press conference ke dauran kahi.

Maulana ne kaha ke Waqf (Amendment) Bill ko Parliament me pesh kiya ja raha hai, jiska maqsad Waqf Board me interference karna hai. Unhone central sarkar per ilzam lagaya ke wo Muslims aur dusre minorities ko haraas kar rahi hai aur unke religious matters me dakhal de rahi hai.

Is mauqe per community members ne sarkar ke khilaf protest kiya. Mufti Yusuf Qasmi ne kaha, “Jis tarah Sikh aur Hindu religious committees me koi Muslim member nahi hota, aur na hi aisi koi khwahish hoti hai, waise hi dusre mazhab ke logo ko Waqf religious committees me shamil nahi kiya jana chahiye.”

Unhone yeh bhi kaha, “Waqf ki properties hamare ajdaad ka diya huva tohfa hai aur inka income qabristan, madrasas, masajid, taleem aur musalmano ki economic progress ke liye kharch hota hai.”

Community leaders ne kaha ke yeh Bill minority rights ke khilaf hoga aur isko pass nahi hone dena chahiye. Unhone yeh bhi bataya ke wo deputy commissioners ke zariye President ko memorandums bhej rahe hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Trending

Exit mobile version