India

UP Government Ne Launch Ki Strict Social Media Policy

Social Media Policy: UP govt ki new digital media policy me anti-national content post karne per strict punishments aur govt initiatives promote karne per rewards diye jayenge.

Published

on

(Representational Image| ROMAN NEWS)

Yogi Adityanath-led Uttar Pradesh government ne ek nayi social media policy introduce ki hai, jismein “anti-national ya derogatory content” post karne walon ke liye strict punishments ka prabandh hai. Yeh nayi ‘UP Digital Media Policy 2024’ ko UP cabinet ne Tuesday evening ko clear kiya, Business Standard ke reports ke mutabiq.

Iss Social Media policy mein

un logon ke liye sakht kadam uthaye gaye hain jo social media platforms per “derogatory, indecent, vulgar, ya anti-national content” share karte hai. Agar koi is policy ke tehat guilty paya gaya to usko teen saal se lekar life imprisonment tak ki saza ho sakti hai, khaaskar un actions ke liye jo anti-national maana jayega.

Iske alawa, iss policy ke tehat accuse kiye gaye logon per agar unhone social media per indecent ya obscene content post kiya to unke against criminal defamation ke charges bhi lagaye ja sakte hain.

Digital content per control ko mazid badhane ke liye, sarkar ne announce kiya hai ke eligible visual aur digital media firms ko, saath hi saath un influencers ko jo popular social media platforms jaise X (formerly Twitter), Facebook, Instagram, aur YouTube par active hain, advertisements diye jayenge. In ads ka payment un firms aur influencers ke subscribers aur followers ki sankhya per depend karega.

UP Cabinet minister Anil Rajbhar ne iss policy ki importance ko highlight karte hue kaha, “Cabinet ne isko approval de diya hai aur desh ke khilaf social media platforms ka misuse karne walon ko strict action se deal karna chahiye. Yeh policy unemployment ka bhi solution deti hai, jo log social aur digital media mein hain unke liye yeh ek acha moka hai is initiative se connect hone ka.”

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Trending

Exit mobile version