India

Taj Mahal ki Main Dome Mein Water leakage, Garden Dooba

Teen din ki lagatar baarish se Taj Mahal ki main dome me huva Water leakage, aur ek garden pani mein doob gaya, jiski video viral ho gayi hai.

Published

on

(Representational Image | Taj Mahal)

Taj Mahal ki main dome mein Water leakage huva hai, teen din ki lagatar baarish ke baad yeh mushkil samne aayi hai. Baarish se Taj Mahal ke aas-paas ka garden bhi pani se bhar gaya. Yeh scene tab samne aaya jab ek purported video viral huva jisme garden paani se dooba huva dikh raha tha. Yeh video Thursday ko viral hote hi touriston ki nazar mein aaya, jo Taj Mahal dekhne aaye thea. Kai logon ne is unusual scene ka video banaya aur share kiya.

Lekin, Archaeological Survey of India (ASI) ke Agra circle ke ek senior adhikari ne spasht kiya ki main dome mein jo leakage dekhi gayi hai, wo sirf seepage ke kaaran hai aur dome ko koi nuksan nahi pohcha hai. Rajkumar Patel, jo ASI Agra circle ke Superintending Chief hain, ne PTI se kaha, “Haan, humne main dome mein leakage dekha, lekin drone camera se check karne ke baad pata chala ki ye sirf seepage ki wajah se hai, aur dome ko koi damage nahi hai.”

Isi ke saath, ek 20 second ka video bhi viral hua jisme Taj Mahal ka ek garden pani se puri tarah dooba dikh raha tha. Is scene ne Taj Mahal dekhne aaye touriston ko hairaan kar diya, aur kai logon ne is paani se bhare garden ki video banayi.

Local guide Monika Sharma ne kaha, “Taj Mahal sirf Agra nahi, pure desh ka garv hai. Yahaan ka tourism humein rozgaar deta hai, isliye iski suraksha aur dekhbhal zaroori hai.”

Agra sheher mein teen din se lagatar ho rahi baarish ne kai jagah water logging ki samasya khadi kar di hai. National Highway per bhi paani jama ho gaya hai, faslein pani mein doob gayi hai, aur sheher ke posh ilaake bhi paani se ghire huve hai.

Is baarish ki wajah se Agra prashasan ne sabhi schools ko band karne ka Aadesh diya hai, taki logon ko suraksha di ja sake.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Trending

Exit mobile version