Salman Khan ke khilaaf Lawrence Bishnoi ke death threats ko veteran screenwriter Salim Khan ne sirf ek “extortion” ki chaal bataya hai. Salim Khan ka kehna hai ki Salman Khan 1998 ke blackbuck case mein kabhi involved nahi the, aur Bishnoi ka yeh kehna ki Salman ko maafi tab milegi jab wo jaanwar maarne per maafi maangenge, bilkul galat hai kyunki Salman ne aisa kuch kiya hi nahi.
ABP News ko diye ek interview mein, Salim Khan se Salman ke blackbuck incident mein alleged involvement ke baare mein poocha gaya jo Rajasthan mein “Hum Saath Saath Hai” ki shooting ke dauran huva tha. Salim ne kaha, “Salman ko jaanwaro se bohot pyaar hai. Uske paas ek dog tha jise wo bohot pyaar karta tha, jab wo mar gaya toh Salman roya tha. Maine usse poocha, ‘Blackbuck incident mein tumhara kya role tha?’ Usne kaha, ‘Main wahan tha hi nahi.’ Wo mujhse kabhi jhoot nahi bolta. Usse jaanwar maarne mein koi dilchaspi nahi hai, wo jaanwaro se pyaar karta hai.”
Salim Khan ne yeh bhi bataya ki unke ghar mein kabhi kisi ne gun use nahi ki, toh shikar karne ka sawaal hi paida nahi hota. Baba Siddique, jo Salman ke kareebi dost the, unki brutal murder Bandra mein huvi thi aur allegations lage ki Lawrence Bishnoi ke gang ka haath tha. Yeh bhi kaha gaya ki Salman Khan ke blackbuck case ne iss murder ko trigger kiya tha, kyunki Baba Siddique superstar ko protect kar rahe the.
Salman Khan ke Bishnoi community se maafi maangne ke baare mein jab poocha gaya,
Salim Khan ne kaha, “Agar wo maafi maangta hai toh iska matlab hoga ki wo crime accept kar raha hai jo usne kabhi kiya hi nahi. Salman ne kisi jaanwar ko nahi maara, na hi maine, humne kabhi ek cockroach tak nahi maara.”
Isi beech, Navi Mumbai police ne ek shakhs ko Haryana se arrest kiya, jo allegedly Salman Khan ke Panvel farmhouse ka recce kar raha tha February mein. Yeh mana jaa raha hai ki Salman Khan par hamla karne ki yeh doosri planning thi, pehli planning Bandra mein unke ghar ke baahar firing ke roop mein April 14 ko hui thi.
Mumbai aur Navi Mumbai mein Salman Khan ke khilaaf planning karne ke peeche Lawrence Bishnoi ka haath mana jaa raha hai, aur police ka yeh maan na hai ki yeh Bishnoi ki taraf se Mumbai mein apni jagah banane aur extortion shuru karne ki koshish hai.