India

RSS Ban Hatane Per Former Civil Servants Ki Chinta

Retired civil servants ne RSS se jude Centre ke order per apni concern express ki, kaha is faisle se desh ki secular democracy ko gahra nuksan hoga.

Published

on

( File Photo | Image used for representation)

Ek open letter mein, Constitutional Conduct Group, jo retired civil servants ka ek Group hai, ne Centre ke us order per “profound” concern Express kiya hai jisme government employees ko Rashtriya Swayamsevak Sangh (RSS) ke sadasya banne ya uski activities mein shamil hone ki Permission di gayi hai.

115 chief bureaucrats, jo pehle government ke high positions per the, ne is letter per sign kiya hai. Unhone is faisle ko desh ki secular democracy ke liye khatarnaak bataya hai. Civil servants, jo secularism aur minority rights ko uphold karne ke zimmedar hai, ab ek aise Organization se judne ki anumati pa rahe hain jo in adarshon ke Oppose mein hai.

“Jab hum samajhte hain ki jaati, dharm aur gender aaj bhi Bharatiya samaj mein mahatvapurn fractures hai, hum is government order se gehri chinta mein hain jo sarkari karmachariyon ko ek aise Organization ke prati wafadari dikhane ki chhoot deta hai jo in cheezon ke Oppose mein hai,” letter mein likha gaya.

Poorv civil servants ne RSS ke astitva aur uske ideologic roots ko highlight karte huve is order ko Samvidhan ka “violation” bataya hai.

“RSS ke sthal mein Hindu Rashtra ka lakshya uski ideology ka mool hai,

jise sangathan ke sthapakon aur netaon ne uske gathan se lekar ab tak spasht kiya hai. Yeh theocratic state ka lakshya, jahan kuch dharmik pehchaan ke logon ke adhikaar kam honge, Bharat ke Samvidhan ke siddhanton aur pratigyaon ke bilkul viparit hai, jo har dharm aur pehchaan ke logon ko saman nagarikta adhikaar aur swatantrata pradan karta hai. Isliye, yeh government order, jo public officials ko RSS ke sadasya banne ya uski activities mein shamil hone ki anumati deta hai, Samvidhan ka ulleghanan hai,” letter mein kaha gaya.

Letter mein aage RSS ke bare mein likha gaya hai ki RSS se judi ideology wale log desh mein alpsankhyak samuday ke logon ke viruddh ‘genocide’ aur ‘ethnic cleansing’ ki khuli maang karte hain. Letter mein kai nyayik aayog ki reports ka hawala diya gaya hai jisme RSS ka communal hinsa aur Muslim samuday ke khilaf attacks mein bhumika darshayi gayi hai.

“Kam se kam chhe nyayik aayog ki reports—Jaganmohan Reddy report (1969 Ahmedabad riots), D.P. Madon report (1970 Bhiwandi riots), Vithayathil report (1971 Tellicherry riots), Jitendra Narain report (1979 Jamshedpur riots), P. Venugopal report (1982 Kanyakumari riots) aur Bhagalpur riots (1989)—ne spasht roop se RSS ke ideology se judi sansthaon aur parties ko communal hinsa mein unki bhumika ke liye doshi thaharaya hai, jo bade star par Muslim aur anya nagrikon ke jaan-malki hani ka karan bane,” letter mein bataya gaya.

Civil servants ne is order ke baad communal ya caste hinsa ke dauran civil services par padne wale asar par bhi apni chinta vyakt ki.

“Aise samay mein, district magistrate aur police netritva ki bhumika nirnayak hoti hai. Agar yeh officers dharm aur jaati se pare rahte hain, agar ve sahasik, dayaalu aur nyayik hain, to ve sabse bhayankar communal aur caste hinsa ko ghanton mein shant kar sakte hain. Lekin agar ve apne rajneetik uchch adikariyon ke galat orders ke aage jhuk jaate hain ya, aur bura, agar ve swayam communal ya caste bhavanaon se prabhavit hain, to ve hinsa aur maas hinsa ke zimmedar honge,” unhone kaha.

Letter ne yeh zor diya ki civil servants aur police ko sabhi dharmik aur jaati alpsankhyakon ki jaan aur swatantrata ko bachane ke liye samvidhanik moolyon ka palan karna chahiye.

“In duties ka nishpaksh palan karne ke liye, civil servants ko hamesha apni manavta, nishpakshata aur Bharat ke Samvidhan mein darshaye moolyon ke prati apni prati pratibaddhta dikhani chahiye,” letter mein kaha gaya.

Iske saath hi, letter mein kuch High Court judges ke RSS ke prati apni lagav ko lekar diye gaye remarks ka bhi “dukh” vyakt kiya gaya hai.

Poorv civil servants ke group ne RSS ke ek sanskritik aur na ki rajneetik sangathan hone ke dawa ko bhi kharij kar diya. Unhone iske ideological origin aur BJP ke saath iske sambandh par prakash daalte hue kaha, “Laakho RSS ke sadasya har rajya aur rashtriya chunav mein BJP ke liye khule aam prachar karte hain. To phir chunavi prakriya ki satyta kaise sunishchit ki ja sakti hai jab Chief Election Commissioners, Returning Officers aur sabhi ve jo ek nishpaksh chunav karane ke liye jimmedar hote hain, un sab ko ek aise sangathan ka sadasya banne ya uski activities mein shamil hone ki chhoot milti hai jo ek vishesh rajneetik party ke saath majbuti se juda hai?” unhone poocha.

Sardar Vallabhbhai Patel, Bharat ke pehle home minister, ke civil services ko desh ki “steel frame” kehne wale remark ka ullekh karte hue, group ne apne letter mein sarkar se turant is order ko wapas lene ki maang ki aur fir se yeh chetavani di ki agar aisa nahi kiya gaya to is faisle ka Samvidhan ke soul par “vishal asar” padega.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Trending

Exit mobile version