India

Port Blair ka naam badal kar Sri Vijaya Puram rakha gaya

Port Blair ko colonial legacy se mukt karte huve, ab Sri Vijaya Puram naam diya gaya, jo desh ki svatantrata sangram ko darshata hai, Amit Shah ka elan.

Published

on

Centre ne Friday ko announce kiya ki Port Blair ka naam ab officially Sri Vijaya Puram rakha gaya hai. Union Home Minister Amit Shah ne yeh announcement X platform par ek post ke through kiya.

Amit Shah ne apne message mein bataya ki yeh faisla Prime Minister Narendra Modi ke us vision se prerit hai, jo desh ko colonial imprints se mukt karna chahte hain. “Isi vision se prerit hokar, aaj humne Port Blair ka naam Sri Vijaya Puram rakhne ka faisla kiya hai,” unhone kaha.

Shah kehta hai ki Port Blair ka pehla naam colonial history se juda tha,

jabki naya naam hamari freedom struggle ki jeet ko symbolise karta hai aur Andaman & Nicobar Islands ke khaas yogdaan ko highlight karta hai.

Unhone emphasize kiya ki Andaman & Nicobar Islands ka India ki history mein ek khaas mahatva hai. Yeh islands kabhi Chola Empire ka naval base thea, aur aaj yeh India ke strategic aur development goals ke liye mahatvapurn hai.

Shah ne yeh bhi kaha ki yeh wahi jagah hai jahan Netaji Subhash Chandra Bose ne pehli baar Tiranga kaaraya tha, aur yahan ka Cellular Jail Veer Savarkar aur anya freedom fighters ki independence ke liye struggles ka gawaah hai.

Port Blair ka naam badalkar Sri Vijaya Puram rakhna, Bharat ki azadi ke liye ladne wale freedom fighters ko samman dene aur colonial past ko mitane ki disha mein ek aur kadam hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Trending

Exit mobile version