India

Odisha Me Bus aur Oil Tanker ki Takkar Me 5 Mare, 20 Ghayal

Samarjhola Chowk per bus aur oil tanker ki bhayanak takraar mein 5 logon ki maut hui, 20 se zyada ghayal. CM ne Rs 2 lakh ki Relief fund ka elan kiya

Published

on

Ganjam district ke Hinjili police limits mein Samarjhola Chowk per Thursday subah ek bus aur oil tanker ke beech head-on collision hua, jisme 5 logon ki jaan chali gayi aur 20 se zyada log ghayal ho gaye.

Bus aur Oil Tanker ka

Accident subah 5:30 baje ke aas paas hua jab bus Aska se Berhampur ja rahi thi aur tanker samne se aa raha tha. Collision ke baad dono vehicles ek roadside tea stall mein ghus gaye. Marne walon mein stall per chai pee rahe 3 log aur bus ke 2 passengers shaamil hain. Unki pehchaan abhi tak nahi huvi hai.

Police ne spot per pahunch kar sabhi ghayalon ko Berhampur ke MKCG Medical College and Hospital mein admit karwaya. Collector Dibyajyoti Parida ne hospital ka visit karte huve bataya ki 13 critically injured logon ko orthopaedic ward mein admit kiya gaya hai, aur sabhi stable hain.

Hospital sources ke mutabik, sabhi 13 injured logon ki halat filhal stable hai, lekin ek ka leg amputation karna pada.

Chief Minister Mohan Charan Majhi ne Accident Per dukh vyakt karte huve pratek marne walon ke parivar ko Rs 2 lakh aur gambhir roop se ghayal logon ko Rs 1 lakh ki sahayata rashi dene ka elan kiya.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Trending

Exit mobile version