World

Nepal Mein Indian Tourist Bus Accident, 14 Dead, 16 Injured

Nepal Mein Gorakhpur se Kathmandu jaane walI bus Marsyangdi River mein girI, 14 logon ki maut, 16 ghayal huve. Rescue operation jaari hai.

Published

on

( Image | Screengrab from X /@VijaySikriwal)

At least 14 log mar gaye aur 16 ghayal hue jab ek Indian tourist bus central Nepal mein highway se 150 meters neeche Marsyangdi River mein gir gayi. Yeh bus Gorakhpur se Kathmandu ja rahi thi jab Tanahun district ke Aaina Pahara mein accident hua.

Bus mein driver aur co-driver ko mila kar total 43 log safar kar rahe the. Embassy of India ke X post ke mutabiq, bus 150 meters neeche gir gayi thi.

Local authorities relief aur rescue operation mein lagay hue hain. Armed Police Force ke Deputy Superintendent, Shailendra Thapa ne bataya ki 14 bodies mil chuki hain aur 16 ghayal logon ko hospital bheja gaya hai.

Nepal Army ka MI-17 helicopter

medical team ke saath accident site pe rescue operation ke liye gaya. Pokhara ke Gandaki Province Police ne bataya ki 15 rescued log bolne ki condition mein hain.

Tanahu District Police ke spokesperson, DSP Dipak Kumar Raya ne confirm kiya ki accident dopahar 11:30 baje hua. Marsyangdi River ki fast-flowing nature aur monsoon ki wajah se rescue mein dikkat aa rahi hai.

Nepal ke mountainous terrain mein monsoon season, June se September tak, heavy rains le aata hai jo landslides trigger karte hain. Pichhle mahine do buses landslide ke karan Trishuli River mein wash away hui thi, jisme 65 passengers the. Extensive search operations ke bawajood missing bodies ab tak locate nahi ho paayi hain.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Trending

Exit mobile version