Telangana

Musi River: HYDRA ke Karwai ke khilaf BRS ka protest

HYDRA akraman ke baad BRS ne moosi peediton ko nyayik sahara dene ka vada kiya, jabki sarkar ke khilaf protests aur aarop jari hai.

Published

on

( Image | X/@BRSparty)

HYDRA ke hamlon ke baad BRS ne spast roop se kaha hai ki woh Moosi Area ke peediton ke prabhavit logon ke saath hai. BRS ne yeh bhi kaha ki prabhavit log kisi bhi samay Telangana Bhawan aakar madad le sakte hai. Party ke netaon ne peediton ko bharosa diya hai ki unko nyayik roop se pura sahara diya jayega.

Isi silsile mein, sunday ko BRS ke kuch MLA aur MLC ka ek dal Moosi parivahak area ka daura kiya. Sabse pehle unhone Haider Sha Kot mein Moosi prabhavit logon ke gharon ka nirikshan kiya aur vahan ke logon se baatcheet ki, unki samasyaon ko samajhne ki koshish ki. Is dauran, kuch colonies mein sarkar ke khilaf zor daar nare lagaye gaye.

BRS ke netaon ke daure ke dauran sarkar ke viruddh posters aur banners bhi dikhaye gaye. Is daure mein purv mantri Harish Rao aur Sabita Indra Reddy bhi maujood the. BRS ke mukhya netaon ne elaan kiya ki woh party ke taraf se nyayik roop se ladai ladenge. Moosi prabhaviton ne kai colonies mein bhari rally nikaali aur unki dharna ko netaon ne pura samarthan diya.

Purv mantri Harish Rao ne Congress ke neta Revanth Reddy par teekha hamla bolte huve kaha ki Revanth ka zyada dhyan real estate par hai. Unhone ilzaam lagaya ki Pharma City ka vikas chhodkar Revanth ne Fourth City ke naam per real estate vyapar shuru kiya hai. Moosi Sundarikaran project ko lekar bhi Harish Rao ne kaha ki duniya mein kahin aisa project nahi dekha gaya jisme DPR banane mein ₹1500 crore kharch kiye ja rahe ho.

HYDRA Commissioner ka Bayan: HYDRA ke Commissioner Ranganath ne kaha ki HYDRA sirf illegal constructions ko hi tod raha hai aur social media per HYDRA ke khilaf jo afwahen failayi ja rahi hai, woh galat hai. Commissioner ne media se baat karte huve kaha ki kuch waqt pehle jab illegal constructions ko toda gaya tha, tab HYDRA ki tareef ki gayi thi. Lekin ab, kuch log galat jankari faila rahe hai.

Unhone yeh bhi kaha ki Ameenpur mein sarkari zameenein bade paimane per kabza ki gayi hai. Ek hospital jo wahan banaya gaya tha, us per bhi pehle karwayi ki gayi thi, lekin wapas se construction shuru ho gaya. Jab us hospital ko toda gaya, to koi bhi patient us waqt maujood nahi tha.

HYDRA Commissioner ne kaha ki N Convention ko toda gaya lekin uske aas-paas jo bastiyan thi, unko nahi toda gaya. Unhone yeh bhi spast kiya ki jahan-jahan log rehte hai, un gharon ko nahi toda gaya hai. Jo log apne ghar ko khali nahi karte, unko sahi waqt diya jata hai aur tab jaake illegal constructions ko toda jata hai. Commissioner ne yeh bhi bataya ki Kukatpally ke Nalla Cheruvu mein bhi illegal encroachments ko toda gaya hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Trending

Exit mobile version