India

Meghalaya ne India ki Pehli Digital Lottery Launch Ki

Meghalaya ne EasyLottery.in ko launch kiya, jo ek transparent aur digital lottery experience provide karta hai, jisme INR 50 crore ka first prize hai.

Published

on

( Image | ANI)

Meghalaya government ne EasyLottery.in ko aaj launch kiya, jo Inida ka pehla fully digital lottery platform hai. Chief Minister Conrad Sangma ke saath Commissioner & Secretary Pravin Bakshi (IAS), Director M. S. N. Marak aur doosre officials bhi launch event mein shaamil the.

Website easylottery.in bhi is mauke per live ho gayi. Is digital lottery ka sabse bada attraction INR 50 crore ka first prize hai. EasyLottery.in users ko ek seamless aur transparent experience provide karegi, ticket kharidne se lekar prize money tak ka pura process digital hoga.

Meghalaya ke Chief Minister Conrad Sangma ne

is initiative ki tareef ki, aur kaha ki lottery jaise chance-based game ke liye transparency aur professionalism zaroori hai. EasyLottery.in ka digital platform isi direction mein ek bada kadam hai. Unhone kaha ki is lottery ke zariye log aur samaj dono ko fayda milta hai.

Aaj kal kai Indians online games aur illegal betting apps mein apna time barbaad kar rahe hain, jo addictive hote hain. Aise mein EasyLottery jaise digital platform society ko fayda pohcha kar responsible gaming promote karta hai. Jeetne par aapko prize milta hai, aur agar haartay hain toh tax jo aap dete hain wo society ke liye kaam aata hai.

M. S. N. Marak ne launch par kaha ki, “Bharat jaisa digitally empowered desh hone ke bawajood humare lottery sector mein ek badi gap thi, jise EasyLottery bharne ki koshish kar raha hai. Ticket sales, prize payments aur tax payments sab kuch digital process se hoga. Sirf lottery draw motorized method se kiya jayega, jo trusted aur transparent hai.”

Pravin Bakshi ne kaha, “EasyLottery ke zariye hum trust, transparency aur legality ko ensure kar rahe hain. Humne is platform ko extensive research ke baad logon tak pahunchaya hai. Yeh platform lottery ko scam-free banayega aur money laundering ko roknay mein madad karega.”

EasyLottery ke Unique Features

EasyLottery responsible gaming ko promote karta hai. Agar koi customer baar-baar haar kar bhi tickets kharidta hai, toh system unka account temporarily suspend kar dega, taki woh apni limit mein rahe. Agar winning streak par ho toh account suspend nahi hoga.

Yeh platform money laundering ko rokne ke liye ‘non-transferable ticket’ policy follow karta hai. Jeetne wala sirf ticket kharidne wala hi prize claim kar sakta hai.

Tickets, Pricing & Prizes

EasyLottery tickets ke prices ko low rakhta hai aur logon ko 3 options deta hai tickets select karne ke liye:

  1. Random Selection: System ticket number randomly choose karta hai.
  2. Total Sum Selection: Yaha player ek digit select karta hai jiska sum ticket number ka hoga.
  3. Complete Selection: Buyers ko apna exact ticket number choose karne ka option milta hai.

EasyLottery ke tickets INR 5,000/- mein milte hain, aur first prize INR 50 crore ka hai, jo India ki lottery history ka sabse bada prize hai. Draw mein sirf 2,60,000 tickets honge, jo jeetne ke chances ko badhata hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Trending

Exit mobile version