India

Mamata Banerjee Ne ki doctors protest site per visit

Mamata Banerjee ne doctors se wapas kaam per aane ki appeal ki aur demands sunne ka wada kiya. CBI ko case tezi se solve karne ko kaha.

Published

on

( Image | X/@titu_dipankar)

Chief Minister Mamata Banerjee ne Saturday ko Swasthya Bhawan mein junior doctors ke protest site ka visit kiya. Unhone protesting doctors se appeal ki ki wo kaam per wapas aaye aur promise kiya ki senior officials ke sath unki demands per baat karengi.

Unhone kaha, “Agar aap kaam per wapas aana chahte hai, toh main aapki demands ko dhyan se dekhungi. Main sarkar akeli nahi chalati. Chief Secretary, Home Secretary aur DGP se aapki demands per baat karungi.”

Banerjee ne Central Bureau of Investigation (CBI) ko bhi keh diya ki RG Kar Medical College ke doctor ke alleged rape aur murder case ki investigation ko tezi se complete karein. Unhone kaha, “Aparadhi ko saza milni chahiye.”

UP se tulna

Unhone West Bengal aur BJP-ruled Uttar Pradesh ki comparison ki. Banerjee ne kaha, “Main aapke khilaf koi action nahi loongi. Yeh UP nahi hai… Main doctors ke khilaf action lene ke khilaf hoon. Main samajhti hoon ki aap log noble kaam karte hai.”

Agitating medics se baat karte huve Banerjee ne promise kiya ki wo unki demands investigate karengi aur agar koi galti mili, toh action liya jayega.

Jab doctors ne “we want justice” ke naare lagaye, Banerjee ne kaha, “Main aapse milne didi (badi behan) ke roop mein aayi hoon, Chief Minister ke roop mein nahi.” Unhone apni visit ko crisis solve karne ki “aakhri koshish” kaha aur doctors ke dukh ko acknowledge kiya jo barish mein protest kar rahe the. Unhone Aashvasan diya, “Main aapki demands ko dekhungi aur agar koi galat paya gaya, toh action liya jayega.”

Surprise Visit

DGP Rajiv Kumar ke sath Banerjee ne protest site per 1 PM ke aaspaas surprise visit kiya. Banerjee ne apni sleepless nights ke baare mein baat ki aur kaha, “Friday raat bhar barish huvi. Jis tarah se aap yahan baithe hai, mujhe dukh ho raha hai. Main bhi 34 dinon se raat bhar nahi soyi hoon, kyunki agar aap sadak per hai, toh mujhe bhi jagna padta hai.”

Unhone state-run hospitals mein patient welfare committees ko turant dissolve karne ka announcement kiya aur naye committees banane ka plan share kiya jo hospital principals aur medical professionals ke under hongi. Unhone bataya, “Nayi committees ka head principals karenge. Junior doctors, senior doctors, nurses aur police ke representatives bhi hongi. Maine yeh decision liya hai.”

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Trending

Exit mobile version