India

Mamata Banerjee ne doctors protest ke beech resign ki baat ki

Mamata Banerjee ne press conference me kaha, “Logon ke hit me main CM pad chhodne ko tayyar hoon. mai chahti hu Tilottama ke liye justice aur common logon ko medical treatment mile.”

Published

on

(Photo | PTI)

Bengal ke Chief Minister Mamata Banerjee ne junior doctors ke chalrahe protest ke dauran ek emotional speech me kaha ki vo logon ke hit me apna CM Post chhodne ke liye tayyar hain. Unhone bataya ki unhe CM ke Post se koi lagav nahi hai aur doctors ko assurance diya ki unke khilaf koi action nahi liya jayega. Banerjee ne kaha ki government hamesha vaarta ke liye tayyar hai, lekin unhone ishaara kiya ki kuch log political interest ke sath protest ko mastermind kar rahe hain.

Mamata ne social media per chal rahi anti-government messages ko lekar kaha, “Hamari sarkar ka apmaan kiya ja raha hai. Common log nahi samajhte ki isme political rang hai.” Unhone kaha ki jin logon ne is protest me political colour diya hai, “wo justice nahi chahte, unhe sirf kursi chahiye.”

Mamata Banerjee ne Tilottama ke liye justice ki maang ki,

jo ek doctor thi, jinka murder huva tha, aur unhone logon ko medical treatment milne ki baat ko dobara dauraya. Junior doctors ke delegation ke intezar me 2 ghante baad unhone press conference me kaha ki wo tayyar hain baatcheet ke liye.

Meeting 5 baje start hone waali thi, lekin doctors ne secretariat ke gate par rukne ke baad meeting me shamil hone se mana kar diya kyunki government ne unki ek demand, live transmission, ko reject kar diya tha. Mamata Banerjee ne kaha ki Supreme Court ke case ki wajah se live transmission allow nahi kiya ja sakta.

Government ne doctors ki baaki demands maan li thi, jaise 15 ke badle 33 members ka sammelan. Lekin live transmission ka issue baaki raha, jis wajah se meeting kaafi logon ke expectation ke khilaf rahi aur hal nikalne ka koi raasta nahi mila.

Junior doctors ne government ko kathor hone ka ilzam lagate huve kaha ki transparency ke liye live streaming zaroori thi. Unhone Mamata Banerjee ke remarks ko “unfortunate” kaha aur bola, “Ham baatcheet chahte the.”

Mamata ne kaha ki kuch bahar ke log doctors ko instructions de rahe the, “Main jaanti hoon ki delegation me se kai log interested the baatcheet me, lekin do ya teen log bahar se instructions de rahe the, ‘baatcheet mat karo, meeting me mat jao’.”

Mamata Banerjee ne kaha ki wo lagatar intezar karti rahi, aur press ke recording ke through sab kuch dekh rahi thi. 2 ghante baad unhone ek impromptu press conference me kaha, “Main Bengal ke logon se maafi maangti hoon, aap soch rahe the ki yeh matter aaj solve ho jayega.”

Hathon ko jodte hue unhone kaha, “Main yahan 2 ghante se bethi hoon, kal bhi intezar kiya tha. Sirf main nahi, senior officials bhi, jinke khilaf yeh complain karte rehte hain.”

Unhone kaha ki Uttar Pradesh ne action liya, lekin unka kehna tha ki vo ESMA (Essential Services Maintenance Act) ka istemal nahi karengi kyunki vo emergency ke supporter nahi hain.

Unhone doctors se request ki ki wo wapas kaam par aa jayein kyunki log suffer kar rahe hain, unko urgent treatment ki zarurat hai, jaise heart operation, kidney operation, pregnant women ko delivery ke liye.

Lekin unhone kaha, “Agar patients ke families humse jawab maangegi jo is protest ki wajah se suffer kar rahe hain, to hum taiyaar hain uske liye.” Government ne claim kiya hai ki 27 logon ki death ho chuki hai healthcare system ke breakdown ke karan, lekin doctors ne is claim ko deny kiya hai.

Mamata ne bola, “Maine doctors se baat karne ki puri koshish ki. Main Bengal ke logon, Bharat ke logon aur duniya bhar ke logon se maafi maangti hoon jo doctors ko support kar rahe hain. Kripya unka support kariye. Hum bhi justice chahte hain – Tilottama ke liye aur Bengal ke patients ke liye jo suffer kar rahe hain.”

Aaj ki meeting ka cancellation junior doctors aur state government ke beech ek mahine se zyada chal rahe face-off ka hissa hai, jo August 9 ko RG Kar Medical College ke ek junior doctor ke rape-murder ke baad start hui thi. Protesting doctors ne establishment par ilzaam lagaya hai ki wo case ko dabaane ki koshish kar rahe hain aur former principal Sandip Ghosh ka support kar rahe hain, jo ab Central Bureau of Investigation (CBI) ke corruption case me arrest ho chuke hain.

Doctors ka demand hai ki kai resignations hone chahiye, including Kolkata ke police chief Vineet Goyal aur health department ke senior officials ka. Doctors ka kehna hai ki jab tak unki demands puri nahi hoti, wo protest khatam nahi karenge. Case ab Supreme Court tak pahuch chuka hai, jisme judges ne khud interest liya hai, lekin protest ka hal state government ko hi nikalna padega.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Trending

Exit mobile version