Union Home Minister Amit Shah ne Assembly elections se pehle Jammu and Kashmir mein statehood wapas dene ki baat dohrayi, aur kaha ki “koi shakti” wahan autonomy per baat nahi kar sakti. Amit Shah ne opposition parties, jaise Congress, National Conference, aur Mehbooba Mufti ki PDP par bhi nishana sadhte hue kaha ki in partyon ne pehle state ko loota hai. Rahul Gandhi ko Jammu and Kashmir ke logon ko gumrah karna band karne ko kaha.
Jammu ke Palauru mein BJP workers ko sambodhit karte hue, Shah ne Article 370 ko hatane ka ullekh kiya, jo Jammu and Kashmir ko vishesh darja deta tha. Shah ne kaha ki agle elections itihaasik honge kyunki pehli baar voters ek Tirange aur ek hi Samvidhaan ke tehat apna vote denge.
Amit Shah ne opposition ke Pakistan se baat karne ke mudde par kaha, “Jab tak shanti nahi hoti, Pakistan se baat nahi hogi.” Shah ne Congress, National Conference ki Abdullah family, aur PDP ki Mufti family par bhi aroop lagaya ki yeh Jammu and Kashmir ko bhrashtachar ke yug mein wapas le jana chahte hain. Unhone spasht kaha ki Jammu and Kashmir mein koi shakti autonomy par baat nahi kar sakti.
Rahul Gandhi aur National Conference ke statehood wapas karne ke wada par, Shah ne poocha, “Rahul baba aur Abdullah sahab, aap statehood kaise wapas karenge? Logon ko gumrah karna band karo… Yeh sirf PM Modi aur Union sarkar kar sakti hai.”
Amit Shah ne kaha,
“Maine pehle hi Parliament mein kaha hai ki Jammu and Kashmir ko chunav ke baad ek sahi samay par statehood wapas milega. Opposition kuch aisa maang raha hai jo hum pehle hi de chuke hain.”
Pichhli sarkaron par atankvaad ko nazarandaz karne ka aroop lagate hue, Shah ne kaha ki PM Modi ke 10 saalon mein BJP ne atankvaad ko 70% kam kiya hai. Unhone Amarnath yatra ki safalta aur theatre kholne ka udaharan diya, aur kaha agar Congress aur National Conference wapas aayi to atankvaad wapas aa sakta hai.
Amit Shah ne apne do din ke J&K daure ke dauran party ka manifesto bhi launch kiya aur kaha ki Article 370 ab itihaas ban chuka hai aur kabhi wapas nahi aayega. Jammu and Kashmir mein vote 18 September se 1 October tak teen phases mein honge aur counting 8 October ko hogi.