India

ICG Helicopter Crash: 2 Dead, 3rd Crew Member Missing

Gujarat coast ke paas ICG helicopter crash mein pilot Vipin Babu aur diver Karan Singh ki bodies mil gayi hai, aur pilot Rakesh Rana ki talash chal rahi hai.

Published

on

(Photo | thehindu)

Indian Coast Guard (ICG) ke helicopter ka crash Arabian Sea mein Gujarat ke coast ke paas ho gaya, aur teen crew members gaib ho gaye. Officials ne bataya ki pilot Commandant Vipin Babu aur diver Karan Singh ki bodies mil gayi hain, jabki teesre member ka abhi bhi khoj chal raha hai.

Coast Guard spokesperson Amit Uniyal ke mutabiq, “ICG ke advanced light helicopter (ALH) ke total char crew members mein se diver Gautam Kumar ko turant bacha liya gaya tha, jabki baaki teen – ek pilot aur do divers ki talash jaari thi. Kal raat ko pilot Vipin Babu aur diver Karan Singh ki bodies mil gayi.”

Unhone yeh bhi kaha, “Ek aur pilot, Rakesh Rana, abhi bhi gayab hai. Humne unhe dhoondhne ke liye chaar ships aur ek aircraft deploy kiya hai. Helicopter ka wreckage mil gaya hai.”

ICG chopper Crash

Yeh Accident Monday raat ko huvi jab ICG ne ek tanker per maujood injured crew member ko evacuate karne ke liye raat 11 baje operation launch kiya tha, jo Porbandar ke paas sail kar raha tha.

Porbandar ke Navi Bandar police station ne Tuesday raat ko 2 dead bodies milne ke baad accidental death report file ki. Report ke mutabiq, Coast Guard helicopter ne medical emergency rescue mission ke dauran sea mein lagbhag 30 nautical miles door crash kiya. Report mein yeh bhi bataya gaya ki do log mar chuke hain aur rescued crew member Gautam Kumar ab hospital mein hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Trending

Exit mobile version