Hyderabad

Hyderabad Mein Bonalu Festival Dhoom-Dhaam Se Manaya Gaya

Hyderabad ke Mahankali mandiron mein sunday ko Bonalu Festival zor-shor se manaya gaya. Hazaaron bhakt Telangana aur padosi rajyon se shaamil hue.

Published

on

(File Photo: timesofindia)

Hyderabad mein Bonalu Festival ka Celebration zor-shor se manaya ja raha hai. Sheher ke sabhi Mahankali mandiron, jinmein Old City ke mandir bhi shamil hain, Aaj Sunday ko bade dhoom-dhaam se Festival manaya gaya. Mandiron aur unke aas-paas ka ilaaka Specific roshni aur rang-birangi toranon se sajaya gaya hai.

Bonalu Festival

Telangana aur padosi rajyon se aaye hazaaron bhakt Lal Darwaza Shree Simhavahini Ammavari Bonalu Festival mein shaamil huye, jo is mandir ka 116vaan Annual festival hai.

Mukhy aakarshan mein Lal Darwaza Mahankali mandir aur itihaasik Akkanna Madanna Mahankali mandir, Hari Bowli mein hain, saath hi Gowlipura, Uppuguda, Aliabad ke famous mandir bhi hain.

Deputy Chief Minister Bhatti Vikramarka ne apne parivaar ke saath sarkar ki taraf se Devi ko “pattu vastralu” (reshmi kapde) arpit kiye. Minister Komati Reddy aur Central minister Kishan Reddy ne bhi Charminar aur Amberpet mein resham ke kapde arpit kiye. Mandir samitiyon ne mahilayon ke liye alag se line lagayi hain taaki wo Devi Mahankali ko ‘Bonam’—paka hua chawal, gud, dahi aur neem ke patte—chadha sakein.

Festival khatam Monday ko Akkanna Madanna mandir mein 1 baje Rangam (bhavishyavani) ke saath hoga, jiske baad ek shandaar julus hoga jisme saj-gharj kar haathi par Devi Mahankali ke ‘Ghatam’ ko le jaya jayega.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Trending

Exit mobile version