India

Haryana Exit Polls Mein Congress Aage, BJP Peeche

Haryana ke exit poll mein Congress ko 55 seats aur BJP ko 26 seats milne ki umeed. J&K aur Haryana dono pr sabki nazar ab predictions pr hai.

Published

on

( File Image | news.sky.com)

Haryana mein voting khatam hone ke baad, sabka dhyaan ab exit poll ki taraf hai jo Haryana aur Jammu & Kashmir ke liye predictions de rahe hai. Haryana mein mukhya mukabla BJP aur Congress ke beech hai. BJP apni teesri baar sarkar banane ki koshish kar rahi hai, jabki Congress wapas aane ki umeed kar rahi hai. Pichhle general elections mein BJP ne sirf 10 mein se 5 Lok Sabha seats jeeti thi, jabki 2019 mein unhone sab seats jeeti thi. Congress, jisne bachi 5 seats jeeti thi, state mein sarkar banane ki umeed kar rahi hai.

Yeh assembly elections BJP ke liye bahut maayne rakhte hai, kyunki pichhli baar 10 saalon mein pehli baar general elections mein unhone majority nahi jeeti. Congress ke liye bhi ye chunav ek mauka hai, jab unhone Lok Sabha elections mein achha pradarshan kiya tha.

Haryana ke Exit Poll Predictions
  1. People’s Pulse: INC 55, BJP 26, JJP 0-1, INLD 2-3, Others 3-5
  2. Dainik Bhaskar: INC 44-54, BJP 19-29, JJP 0-1, INLD 1-5, Others 4-9, AAP 0-1
  3. Dhruv Research: INC 57-64, BJP 27-32, Others 5-8
  4. Republic-Matrize: INC 55-62, BJP 18-24, JJP 0-3, INLD 3-6, Others 2-5
Jammu and Kashmir Exit Polls

Alag-alag sources Jammu & Kashmir Assembly elections ke liye alag predictions de rahe hain.

  1. Dainik Bhaskar: JKNC-INC alliance 35-40, BJP 20-25, PDP 4-7, Others 12-16
  2. India Today-C Voter: JKNC-INC 40-48, BJP 27-32, PDP 6-12, Others 6-11
  3. Gulistan News: BJP aur JKNC dono 28-30, INC 3-6, PDP 5-7
  4. People’s Pulse: JKNC 33-35, BJP 23-27, INC 13-15, PDP 7-11

Zyada exit polls kehte hain ki JKNC-INC alliance aage rahega, jabki BJP ka mukabla karegi. PDP ka pradarshan kamzor dikh raha hai, lekin ‘Others’ bhi final natije mein ahm bhoomika nibha sakte hai.

2014 ke elections mein, hung assembly ka anuman lagaya gaya tha, jisme PDP ko aage dekha gaya tha. Aakhir mein PDP ko 28 seats mili thi, BJP ko 25, NC ko 15 aur Congress ko 12.

2024 ke elections 3 phases mein huve, jisme total voter turnout 63.45% raha, jo 2014 ke 65.8% se thoda kam tha. Kuch boycott areas jaise Sopore aur Baramulla mein 30 saalon mein sabse zyada voting huvi.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Trending

Exit mobile version