India

2018 mein post se hataye jane ke baad Former CBI chief pegasus nigrani mein jode gaye: Report

Pegasus spyware vivaad mein naya khulasa samne aya hai. October 2018 mein CBI chief ke post se hatae jane ke baad tatkaleen CBI pramukh alok verma ke phone number bhi pegasus ki nigrani mein jod diye gaye the.

Published

on

Pegasus spyware vivaad mein naya khulasa samne aya hai. October 2018 mein CBI chief ke post se hatae jane ke baad tatkaleen CBI pramukh alok verma ke phone number bhi pegasus ki nigrani mein jod diye gaye the.
CBI Director Alok Verma. (File Photo: IANS)

New Delhi: Pegasus Spyware vivaad mein naya khulasa samne aya hai. October 2018 mein CBI pramukh ke post se hataye jaane ke baad tatkaaleen CBI chief Alok Verma ke phone number bhi Pegasus ki sambhavit nigraani mein jod diye gaye the.

News website The Wire ne guruvaar ko bataya ki ke former CBI chief Alok Verma, jinhen sarkar ke sath vivaad ke baad 2018 mein bewajah post se hata diya gaya tha, Inko barkhast karne ke kuch hi ghanton baad unke phone number Israeli Spyware Pegasus’ Surveillance mein jod diye gaye the. halaanki numbers ko shaamil karne ka matlab yeh nahin ho sakta ki unka phone pegasus se sankramit tha, kyunki iski pushti sirf forensic analysis ke zariye se ki ja sakti hai.

Congress leader Rahul Gandhi, election strategist Prashant Kishor, Union Ministers aur kayi saare Journalists is hafte ki shuruwat mein samne aye is ghotale mein nishane par paye gaye the, jise vipaksh dvaara “Watergate se bada” karaar diya gaya aur sarkaar dwaara sakhti se kharij kar diya gaya.

The Wire un 17 Media Organizations mein shamil hai, jo is jaanch ko Publish kar rahe hain, jisme kaha gaya hai ki pegasus ka istemaal kar malware ka upyog karke smartphone ko ya toh successfully hack kiya gaya ya aisa karne ka prayaas kiya gaya.

Ye spyware messages ko nikalne, call record karne aur microphone ko gupt roop se sunne mein kaam aata hai.

Pegasus ke nirmaata NSO, jisne kaha hai ki woh apne spyware ko sirf ” verified governments” ko bechte hai, unhone reports ko ” full of misconceptions and unconfirmed theories” bata kar kharij kar diya hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Trending

Exit mobile version