India

Bengal ke junior doctors aur Mamata Banerjee ki meeting khatam

4 asafal koshisho ke baad, Bengal ke junior doctors ka pratinidhi mandal Mamata Banerjee ke ghar Pe bathchith ke liye pahuncha, 2 ghante tak meeting chali.

Published

on

( Image | PTI)

West Bengal sarkar aur junior doctors ke beech ho rahi meeting kareeb do ghante tak chali, jiske baad dono taraf se meeting ke minutes finalize karne ka kaam shuru huva, sources ne Monday raat ko bataya.

Kareeb 30 doctors, ek pilot police vehicle ke sath, Mamata Banerjee ke Kalighat residence 6:20 pm per pahunche. Meeting jo pehle 5 baje hone wali thi, lagbhag 7 baje shuru huvi.

Yeh invite Chief Secretary Manoj Pant ke dwara bheja gaya tha, jinhone doctors ko ye bhi vishwas dilaya ki meeting ke minutes dono parties dwara sign kiye jayenge, aur meeting ke ant mein har ek ko ek copy di jayegi.

Pehle ke prayas asafal rahe kyunki sarkar ne doctors ki live-streaming aur video recording ki maang ko reject kar diya tha. Lekin doctors ne compromise karte huve sirf meeting ke minutes record karne aur signed copy lene ki maang rakhi.

Shaam mein, doctors ne Manoj Pant ke invite ka jawab diya aur kaha ki voh meeting attend karne ko taiyaar hain. Lekin unhone meeting ka sthal kisi adhikarik aur administrative jagah par hone ki ichha vyakt ki, kyunki yeh ek governance ka mamla tha.

Bengal Doctors ne Tala police station ke

OC ki CBI dwara giraftari ka zikr kiya, aur kaha ki transparency ke liye meeting ki video recording zaroori hai. Agar yeh possible nahi ho, to meeting ke full transcript ke minutes dono parties ke dwara sign karake diya jaye.

Chief Secretary ne turant jawab diya aur kaha ki meeting ke minutes sign karne ke baad dono parties ko copy di jayegi. West Bengal sarkar ne Monday ko paanchvi aur final baar protesting doctors ko invite kiya tha, taaki RG Kar impasse khatam kiya ja sake.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Trending

Exit mobile version