Hyderabad

Balapur Laddu ki Nilami mein Rs 30 Lakh ka Record

Balapur laddu Nilami ne iss saal Rs 30 lakh ka record banaya, jab Kolanu family ne laddu jeet kar Ganesh Utsav mein apna yogdan diya.

Published

on

(Photo | @X)

Ganesh Utsav ke dauran laddu ki Nilami ek mahatvapurn hissa hota hai. Visarjan ke din subah, log bade utsah ke saath laddu ko apne ghar le jaane ke liye Nilami mein bhaag lete hain. Aisa maana jata hai ki jo bhi Ganesh laddu jeetta hai, uske ghar mein sukh-samriddhi aati hai. Issi vishwas ke chalte, log aukshan mein boliyan lagate hain. Jab bhi Ganesh laddu auction ka zikr hota hai, sabse pehle Balapur laddu ka naam yaad aata hai. Balapur laddu ke auction ka itihas kaafi lamba hai, lekin is baar kuch anya jagah ke laddo bhi ache daam par bike hain.

Rs 1 crore ka Laddu

Bandlaguda mein ek laddu ka daam Rs 1 crore se zyada lagaya gaya. Keerthi Richmand Villas mein Nilami ka ayojan kiya gaya, jahan community ne Rs 1.87 crore ki boli lagayi. Pehle yehi laddu Rs 1.26 crore mein becha gaya tha. Nilami se prapt huvi rakam ko garibon ke liye prayog karne ka vada kiya gaya hai.

Rs 30 Lakh ka Balapur Laddu

Iss saal Balapur laddu Rs 30 lakh 1 hazaar rupaye mein bik gaya. Kolanu pariwar ne ye laddu jeeta, aur Kolanu Shankar Reddy ne turant auction committee ko nakad rupaye diye. Pichhle saal ye laddu Rs 27 lakh mein Dasari Dayanand Reddy ne jeeta tha. 1994 mein shuru huva ye Balapur laddu auction, sirf Rs 450 se shuru huva tha aur aaj Rs 30 lakh tak pahunch gaya hai.

Dusre Jagah ke Record Auction Ke Daam

Hyderabad ke Madhapur mein bhi My Home Bhuj ke Ganesh laddu ne record banaya, jahan Khammam district ke Kondapalli ke Ganesh ne Rs 29 lakh mein laddu jeeta. Pichhle saal yahi laddu Rs 25.50 lakh mein bika tha.

Vijayawada rural ke Nunn Panchayat kshetra mein bhi laddu ko Rs 26 lakh mein auction kiya gaya. Sri Sai Balaji Enclave apartment ke is auction mein private company ke directors Singamreddy Pradeep Reddy aur Nakka Ram ne laddu jeet liya.

Khammam district ke Madhira Mandal ke Dendukur mein bhi Divya Ganesh Utsav Committee ne laddu auction ka ayojan kiya. Yahan, T. Upendra ne Rs 2.90 lakh ki boli lagakar laddu apne naam kiya.

Har jagah, Ganesh laddu auction logon ke liye ek bada utsav hota hai. Laddu ko jeetna apne aap mein ek samman ka kaaran mana jata hai, aur log bade utsah ke saath boliyan lagate hain.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Trending

Exit mobile version