India

Assam: Minor Girl ka Gang-Rape, Dhing Me zordar Protest

Assam ke Dhing area mein ek minor girl ke gang-rape per massive protests huve. Locals ne shops bandh kar diye aur culprits ki girftari ki maang ki.

Published

on

( File Image | firstpost)

Assam ke Nagaon district ke Dhing area mein ek Class 10 ki minor girl ke saath gang-rape ka case saamne aaya hai. Ye incident tab hua jab wo apni tuition se ghar wapas ja rahi thi. Teen log bike pe aaye aur usko gher kar gang-rape kiya. Ladki ko injured aur unconscious condition mein roadside pe chhod diya gaya.

Local residents ne usko unconscious condition mein paaya aur police ko inform kiya. Pehle usko Dhing ke health center le jaya gaya, phir treatment ke liye Nagaon hospital shift kiya gaya. Police ne ek suspect ko detain kiya hai aur baaki culprits ki talash jaari hai.

Is incident ke baad, Friday ko local log streets pe aa gaye, demanding justice aur culprits ki immediate arrest. Shops band kar di gayi aur political organizations ne strict action ki demand ki.

Assam ke

DGP GP Singh ne area ka tour kiya aur logon ko firm action ka assurance diya. Assam ke CM Himanta Biswa Sarma ne isko “humanity ke khilaaf crime” kaha. Unhone kaha ki culprits ko law se bacha nahi payenge.

Sarma ne yeh bhi kaha ki yeh pehla case nahi hai Dhing mein. Jahan indigenous log minority mein hote hain, wahan aise crimes barte hai. Unhone media se kaha ki “a section of a particular community” ko Lok Sabha elections ke baad encourage kiya gaya hai aise crimes commit karne ke liye. Last 2 months mein 22 aise cases report huye hain, yeh 23rd hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Trending

Exit mobile version